Kyu hame itna majboor kar deti hai yaaden
Na jaane kyu unhi galiyon me har dafa le jaati hai yaaden.

Kyu hum apne man k gulaam banke reh jaate hai
Aur tanhaiyo me chupke se muskurati hai yaaden.

Kabhi palko pe aansoo, kabhi honton pe muskaan ki tarah ithlaati hai yaaden.

Faslo ko mitakar, duriyon ko ghatakar
Kisi ke kareeb hone ka ehsaas karati h yaaden.

Kyu hum bhaagna chahte hai tanhai se bachkar
Jab parchhai ki tarah sang hamesha chalti hai yaaden.

Soone se gharonde me palti hai pal pal,
 Phir kyun Vaadon si toot jaati he yaaden.

Khojten rehte he purani galiyon me nishaan unke,
Aur seene me dabkar aksar reh jaati hai yaaden.


This entry was posted on 20:53 and is filed under . You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0 feed. You can leave a response, or trackback from your own site.

1 comments:

    Tattooed Mind said...

    Very beautiful.... Memories... they shape us and haunt us... make us smile or make us cry... yet there is something about them that completes us...

  1. ... on 23 October 2012 at 23:05